Aaj usmein aur mujh mein Kuch fark nahi Raha Dharm ke naam par uske karm mei Aur karm ke prati mere dharam mei Kuch fark nai raha Barood ke chand mukhaute pehne Chala woh tezi se apni chaal Chala main dheeme apni chaal Par kadmon ke Aahat mei hamaare Kuch fark nahi raha Manzil chaahe jo thi uski Raasta chaahe jo tha mera Dono ke uss anjaam mei Kuch fark nahi Raha Laashon ne likhi jeevni uski Murdon ne Bayaan ki meri Kahaani Shabd chaahe ho jitne alag Par unn lafzon ke ehsaason mei Kuch fark nahi Raha Mere seene pe lipte tirange mei Uski gardan pe lipte fande mei Mere maatam ke tamashe mei Uski maut ke sannate mei Kuch fark nahi Raha Aaj usmein aur mujhmein Kuch fark nai raha